Taweez ke Jayez Hone par Chaaro Masaalik ka Ittefaaq hai.

Wednesday, November 26, 2014

Maslak e Hanafiyya :

1 – Imam Muhammed bin Hasan Ash-Shaybaani Rh. Al Mutawaffa 189 Hij.  Farmaate hai ke
Hum Is Masla ko Maante hai Jab ke wo  Dam ya Taweez Allah ke Zikr ya Allah ki Kitaab se ho aur Yahi Imam e Azam Abu hanifa Rh. Al Mutawaffa 150 Hij.   ka Farmaan hai.(Kitaab ul Aasaar : Jild 2 : safa 758)
Scan Page :....
athar_alshibany_Page769




2 – Imam Mulla Ali Qari Makki Rh. Al Hanafi Tehreer Farmaate hai ke
Jo Taweezaat Aayat e Quraani, Allah tala ke Asma aur Sifaat aur Manqool Duaye par Mushtamil ho, unme koi harj nahi hai. (Mirqaat ul Mafaateh : Jild 8 : Safa 373)
Scan Page :
mmsmm08_Page373
3 – Imam Tahtaawi Rh. Al Mutawaffa 1231 Hij.  Farmaate hai ke
(Fatawa) Hindiyya me Mazkoor hai ke Taweez Latkaana Jayez hai. (Haashiya Tahtaawi Ala durr Mukhtaar : Jild 4 : Safa 1831 Darul Marefah, Beirut Edition)
4 – Isi Tarah Imam Ibn ul Aabideen Rh. Al Mutawaffa 1252 Hij. Bhi Taweez ko Jayez kehte hai. (Radd ul Mukhtaar : Jild 9 : Safa 523)
Scan Page :
09_61495_Page5231
Maslak e Malikiyya :
5 – Imam Maalik Rh. Al Mutawaffa 179 Hij. Farmaate hai ke is Baat me koi Harj nahi ke Haiza Aurte ya Bach-cho ke Gale me Taweez Latkaaya Jaaye, Ba-sharte ke Taweez Kisi Lohe (Iron) ya Chamde me Band ho. (Al Majmua : Jild 2 : Safa 84)
Scan Page :
magm02_Page84
6 – Imam Ibn Abdul Barr Maliki Rh. Al Mutawaffa 463 Hij. Farmaate hai ke
Imam Maalik Rh. Al Mutawaffa 179 Hij. ne Kaha ke  :

وَقَدْ قَالَ مَالِكٌ رَحِمَهُ اللَّهُ لَا بَأْسَ بِتَعْلِيقِ الْكُتُبِ الَّتِي فِيهَا أَسْمَاءُ اللَّهِ عَزَّ وَجَلَّ عَلَى أَعْنَاقِ الْمَرْضَى عَلَى وَجْهِ التَّبَرُّكِ بِهَا

Bimaar ke Gale me Barkat ke Taur par Taweez Daalne me Koi Harj Nahi hai.
(At –Tamheed : Jild 17 : Safa 161)
Scan Page :
tmheed17_Page161
7 – Imam Ahmed Dardair Maliki Rh. Al Mutawaffa 1201 Hij. Farmaate hai ke
Wo Taweez Jisme Allah tala ke Naam aur Quraan ke Alfaaz ho, unka Istemaal Mareez, Tandurust Wagaira ke liye kiya jaasakta hai Ba-shart hai ke wo kisi Hifaazat karne waali cheez me band ho. (Sharah As-sagheer : Jild 4 : Safa 769)
Scan Page :
4_Page769
8 – Isi Tarah Imam  Al Qazi Ayaz Maliki Rh. bhi Taweez ko Jayez Maante hai. (Fathul Baari : Jild 12 : Safa 371)
Scan Page :





Maslak e Sha’afiyaa :
9 – Imam Shafa’ii Rh. Al Mutawaffa 204 Hij. se Dam aur Taweez ke  bare me Sawaal Kiya gaya, Toh Unhone Farmaaya ke Usme Koi Harj nahi hai. (Fathul Baari)
10 – Imam Ibn Hajar Asqalaani Shafa’ii Rh. Al Mutawaffa 852 Hij. Farmaate hai ke
Wo Taweez  Jisme Quraan aur Zikr ullah ke Alfaaz ho, unke Istemaal me koi Harj nahi hai Kyunke wo Tabarruk ke Maanind hai aur un Taweez me Allah ka naam aur Zikr hota hai. (Fathul Baari : Jild 6 : Safa 142)
Scan Page :
 
11 – Imam Nawawi Shafa’ii Rh. Al Muwaffa 676 Hij. Farmaate hai ke
Amr bin Shoeib Rh. ki Yeh Hadees Taweez ke Jawaaz ki Daleel hai. (Al Majmu : Jild 2 : Safa 84)
Scan Page :
 
Jisse Maloom hota hai ke Unke Nazdeek bhi Taweez ka Istemaal Jayez hai.
Note :  Yeh Amr bin Shoeib Rh. ki Hadees ki Puri Tafseel Darj e Zail Link par Maujood hai.
12 – Imam Behaiqi Shafa’ii Rh. Al Mutawaffa 438 Hij.  Farmaate hai ke
Lekin Jisne Allah Tala ke Zikr se Barkat Haasil Karne ke Liye Taweez ko Latkaaya aur Uska yeh Aiteqaad ho ke Musibat ko dur Karne aur Bimaari ko Khatam karne Waala SIRF Allah Tala hai toh Phir Taweez Latkaane me koi Harj nahi hai. (Sunan e Kubra Lil Behaiqi : Jild 9 : Safa 589)
Scan Page :
 
Maslak e Hanaabila :
13 – Imam Ahmed bin Hanbal Rh. Al Mutawaffa 241 Hij.  se Musibat Naazil hone ke baad (Quraan ki) Tamaa-im Latkaane ke Mutalliq Sawaal kiya gaya, toh Unhone Farmaaya : Isme koi Harj nahi. (Za’ad ul Ma’ad : Jild 4 : Safa 327)
Scan Page :
 
14 – Imam Ibn ul Qayyim Hanbali Al Mutawaffa 751 Hij.  Rh. Farmaate hai ke
Mutaqaddimeen ki Ek Jamaat ne Quraan e Majeed ki Aayaat ko Likhne aur unke Dhowan ko Peene ki bhi Ijaazat Di hai aur Isko Allah tala ki Aata Karda Shifa me Shumaar kiya hai.
(Zaad ul Ma’ad : Jild 4 : Safa 328)
Scan Page :
 
15 – Imam Ibn Taimiya Rh. Al Mutawaffa 728 Hij.  bhi Taweez ke Qaayil hai Hone Hone Saat Taweez ke Jawaaz me Jo Riwayat Aayi hai Unse Istedlaal bhi Kiya hai. (Majmu al Fatawa : Jild 19 : Safa 64-65)
Scan Page :


Jinse Saaf Taur se Maloom hota hai ke Unke Nazdeek bhi Taweez ka Istemaal NA Shirkaur Na hi Koi Gunaah hai Balke Jayez hai.
Al-hamdulillah, Yeh Baat Saabit Hochuki hai ke 4 Imaamo Taweez ke Jayez hone par Ijma hai.
Yahi Wajeh hai ke
Imam Ibn Hajar Rh. Farmaate hai ke

وَقَدْ أَجْمَعَ الْعُلَمَاءُ عَلَى جَوَازِ الرُّقَى عِنْدَ اجْتِمَاعِ ثَلَاثَةِ شُرُوطٍ أَنْ يَكُونَ بِكَلَامِ اللَّهِ تَعَالَى أَوْ بِأَسْمَائِهِ وَصِفَاتِهِ وَبِاللِّسَانِ الْعَرَبِيِّ أَوْ بِمَا يُعْرَفُ مَعْنَاهُ مِنْ غَيْرِهِ وَأَنْ يُعْتَقَدَ أَنَّ الرُّقْيَةَ لَا تُؤَثِّرُ بِذَاتِهَا بَلْ بِذَاتِ اللَّهِ تَعَالَى

Ulama ka Ispar Ijma hai ke Dam aur Taweez 3 Sharto ke Saat Jayez hai :
1 – Allah ke Kalaam Yaani Quran se ho Ya Allah ke Asmaa wa Sifaat se ho.
2 – Arabi me ho aur Kisi Ajmi Zubaan me ho Toh Uski Alfaaz ke Ma’ani Maloom ho.
3 – Dam Karna aur Karaane Waale ka Yeh Aiteqaad ke Dam aur Taweez me Ba-Zaatiya Koi Taseer Nahi Balke Mausar e Haqeeqi Sirf Allah hai.
Yeh Dam aur Taweez Sirf Sabab hai. (Fathul Baari : Jild 10 : Safa 195)
Scan Page :


Algarz Taweez ke Istemaal par 4 Masaalik ka Ittefaaq hai.






  • Pin It