Ulama e Deoband Par Aiteraaz Ka Jawaab -(Part-4)

Monday, January 26, 2015

Maulana Ashraf Ali Thanwi Rh.  Par Aiteraaz Ka Jawaab

Aiteraaz : Maulana Thanwi Sahaab Ke Mureed Ne Kalma Padha “ Lailaaha Illallah Ashraf Ali Rasool Allah “ Aur Ispar Thanwi Sahaab Ne Unhe Kuch Nahi Kaha.

Al-Jawaab : Yeh Kehna Ke Maulana Ashraf Ali Thanwi Sahaab Rh. Ke Ek Mureed Ne Aisa Padha Qatan Ghalat Hai , Wo Shaks Us Waqt Tak Mureed Huwa Hi Nahi Tha Balke Wo Iraada Kar Raha Tha Bait Hone Ka , Magar Yeh Kuch Samajh Me Nahi Aaraha Tha Ke Ki Se Mureed Hu Tab Yeh Khuwaab Dekha.

Aur Hadees Me Hai Ke 3 Aadmi Marfu Ul Qalam Hai ( Yaani Sharii Qanoon Ki Zad Se Mehfooz ) Unme Se Ek Soone Waala Hai Jab Tak Ke Wo Bedaar Na Ho.

(Bukhari : Jild 2 : 1039)

(Muslim : Jild 2 : Safa 247)

(Mustadrak Haakim : Jild 4 : Safa 390)


Isi Tarah Hazrat Ayesha Rdh. Farmaati Hai Ke Rasoolullah Saw Ne Farmaaya : 3 Shaks Marfu Ul Qalam Hai ( Yaani Sharii Qanoon Ki Zad Se Mehfooz ) Unme Se Ek Soone Waala Hai Jab Tak Ke Wo Bedaar Na Ho. ( Jaame Sagheer : Jild 2 : Safa 24)

Ek Aur Riwayat Jise Hazrat Umar Rdh. Aur Hazrat Ali Rdh. Bayaan Farmaate Hai Yahi Mazmoon Waarid Huwa Hai. (Jaame Sagheer : Jild 2 : Safa 24)

Hazrat Qatada Rdh. Farmaate Hai Ke Huzur E Aqdas Saw Ne Farmaaya : Yaani Neend Ki Halat Me Koi Kotaahi Aur Jurm Nahi Ha Bedaari Ki Halat Me Kotaahi Ho Toh Isme Jurm Hai.

(Tirmizi : Jild 1 : Safa 25)

Wazaahat : Barhaal In Hadeeso Se Maloom Huwa Ke Neend Ki Halat Me Jo Kaam Huwa Ho Toh Wo Jurm Nahi Hai.

Chand Waaqiyaat Mulaaheza Farmaaye :

1 – Hazrat Saw Ki Phuphi Hazrat Umm Ul Fazl Bin Haaris Rdh. Ne Ek Khuwaab Dekha Aur Wo Anhazrat Saw Ki Khidmat E Aqdas Me Haazir Huwi Aur Arz Kiya Ke Ya Rasoolullah Saw Aaj Raat Maine Ek Bura Khuwab Dekha Hai Aap Saw Ne Farmaya Ke Wo Kya Khuwaab Hai ? Inhone Farmaaya Ke Wo Bahut Hi Saqt Hai Aap Ne Farmaaya Ke Bataao Toh Sahi Wo Kya Hai Hazrat Ummul Fazl Ne Arz Kiya Ke Mai Ne Khuwaab Hai Gooya Aap Ke Jism E Mubarak Se Ek Tukda Kaat Kar Meri Good Me Rak Diya Gaya Hai.

Anhazrat Saw Ne Farmaaya Ke Tumne Bahut Acha Khuwaab Dekha Hai (Uski Taabeer Yeh Hai ) Ke Insha Allahu Tala Meri Laqte Jigar Beti Hazrat Fatima Rdh Ke Yaha Ladka Paida Hoga Jo Tumaari Ghod Me Khelega.

Chunaanche Sayyidina Hussain Rdh. Paida Huwe Aur Meri Ghod Me Khele Jaisa Ke Huzur Saw Ne Irshaad Farmaaya Tha. ( Mishkaat : Jild 2 : Safa 572 )

Wazaahat: Baazahir Khuwaab Kitna Bura Tha Ke Khud Umme Fazal Rdh. Usse Ghabraa Rahi Thi Aur Batlaane Par Bhi Aamada Nahi Thi Magar Huzur Saw Ke Kehne Par Inhone Aakhar Bayaan Kiya Hai Aur Phir Jab Aap Ne Ta’abeer Bayaan Farmaayi Wo Kis Qadr Khush Kin Aur Khaalis Khush Qabri Thi.

2 – Hazrat Imam E Azam Abu Hanifa Rh. Ne Khuwaab Dekha Ke Wo Huzur Saw Ke Mazaar E Aqdas Par Pahuche Aur Waha Pahuch Kar Huzur Saw Ki Haddiya E Mubarak Ko Ekhatta (Jama) Kiya.

Pas Ispar Pareshaan Kin Aur Waishat Anghez Khuwaab Ki Ittela Inhone Apne Ustaad Ko Di.

Unke Ustaad Ne Farmaaya Agar Waqai Yeh Khuwaab Tumaara Hai Toh Uski Taabeer Yeh Hai Ke Tum Janaab E Rasoolullah Saw Ki Ahadees Ki Pairwi Karoge. Aur Shariyat E Muhammediya Ki Har Masail Ki Tehqeeq Karoge.

Jis Tarah Unke Ustaad Ne Bayaan Kiya Tha Yeh Taabeer Hurf Ba Hurf Isi Tarah Puri Huwi. (Ta’abeeru Roiyaa : 37 )

3 – Taarekh Ke Baaz Kitaabo Me Mazkoor Hai Ke Haaron Rasheed Rh. Ke Biwi Zubeda Ne Khuwaab Dekha Ke Kaseer Taadaad Maqlooq Jama Hokar Usse Zinah Kar Rahe Hai.

Jab Aankh Khuli Toh Behad Pareshaan Huwi,Ghabraahat Ki Koi Intehaa Na Thi Aakhir Jab Is Khuwaab Ki Taabeer Batlaayi Gayi Toh Malo Huwa Ke Unse Koi Aisa Kaam Liya Jayega Jisse Beshumaar Maqlooq Ko Faiziyaab Hogi.

Chunaanche Aisa Hi Huwa Usne Naher E Zubeda Khudwaai Jo Iraaq Arab Ke Ek Bahut Bade Hisse Ko Sairaab Karti Hai Aur Aiyyaam Hajj Me Mashriq Wa Maghrib Ke Musalmaan Usse Faiziyaab Hote Hai Jo Isi Khuwaab Ki Taabeer Hai. ( Mussala Rashaul Khiyaar : Safa 51 )

Wazaahat : Dekhiye ! Khuwaab Sunne Me Kitna Kharaab Aur Ghanda Nazar Aaya Hai Lekin Uski Ta’abeer Kitni Umda Hai.

Agar Koi Khuwaab (Ba Zahir) Ganda Ho Uska Yeh Matlab Harghiz Nahi Hai Ke Uski Taabeer Bhi Gandi Ho.

Barhaal In Hadeeso Aur Waqiat Se 2 Baateib Waazeh Huwi Hai.

1. Khuwaab ki Halat me Hone Waali Qata par Koi Fatwa Nahi Lagta.

2. Khuwaab Ba-Zahir Bura Nazar Aata Hai Lekin Yeh Baat Zaruri Nahi Hai Ke Uski Taabeer Bhi Buri Ho. Lekin Basa Auqaat Uski Taabeer Nihayat Hi Umda Hoti Hai Jaise Ke Aap Ne Upar Mulaaheza Farmaaya Hai.

Ab Raha Us Shaks Ke Khuwaab Ka Masla Toh Us Shaks Ne Hazrat Thanwi Rh. Ki Khidmat Me Haazir Huwa Hai Aur Kaha Ke Maine Khuwaab Me Is Tarah Padha Hai.

Toh Hazrat Thanwi Rh. Ne Khuwaab Ki Taabeer Karte Huwi Farmaaya Ke Jiski Taraf Tum Ruju Hona Chahte Ho Wo Muttabe Sunnat Hai.

Wazaahat : Agar Koi Shaks Khuwaab Me Yeh Dekhe Ke Wo Kisi Aurat Ke Saat Zinaah Kar Raha Hai Toh Kya Sharan Us Shaks Par Koi Pabandi Hogi.

Bilkul Nahi Jis Tarah Us Shaks Par Koi Pabandi Nahi Isi Tarah Us Shaks Par Bhi Koi Pabandi Nahi Hai Jisne Khuwaab Me Kalima Me Huzur Saw Ke Naam Ke Alaawa Koi Naam Ke Saat Rasoolullah Kaha Ho Toh Us Par Fatwa Nahi Hoga.

Kyunke Usne Yeh Khuwaab Me Padha Hai Nake Bedaari Me.
Lehaaza Isme Koi Aiteraaz Ki Baat Nahi Hai.
Lekin Agar Koi Badnaam Hi Karna Chahta Hai Toh Uska Kya Ilaaj Hai.

Jo Log Hazrat Thanwi Rh. Aur Ulama E Deoband Par Kufr Ka Fatwa Lagaate Hai Aur Unko Kaafir Kehte Hai Wo Pehle Yeh Waqiaat Sunle.

Hazraat E Bralwi Se Sawaal :

1. Sultan Ul Aarifeen Siraaj Ul Saalikeen Hazrat Khuwaja Nizaamuddin Chishti Rh. Ne Yeh Hikaayat Bayaan Farmaayi Ke Hazrat Shibli Rh. Ki Khidmat Me Ek Shaks Mureed Hone Ke Waaste Haazir Huwa Shaik Shibli Rh. Ne Irshaad Farmaaya Ke Mai Tujh Ko Ek Shart Par Mureed Karta Hu Ke Jo Kuch Mai Irshaad Farmaao Toh Usko Bajaala , Usne Qubool Kiya Shaik Shibli Rh. Ne Farmaaya Ke Acha Kalima Kis Tarah Padhte Ho ? Usne Laailaaha Illallah Muhammedur Rasoolullah Padha.Aap Ne Farmaaya Ke Is Tarah Padho Laailaaha Illallah Shibli Rasoolullah Kyunke Yeh Shaks Aqeede Me Raasikh Tha Fauran Padhne Laga Laailaaha Illallah Shibli Rasoolullah.

Hazrat Shibli Rh. Fauran Roo Padhe Aur Irshaad Farmaaya Ke Mai Kaun Ho Anhazrat Saw Ke Ghulaam Se Khud Ko Mansoob Karna Be-Adbi Samajhta Ho Che Jaaye Ke Unki Baraabari Ka Dawa Karo Yeh Amr Sirf Teri Husn E Aqeedat Ke Dariyaaft Ke Waaste Tha.

(Fawaid Ul Fawaid Urdu Tarjuma : Safa 251)
Scan Page :
http://ulamaehaqulamaedeoband.files.wordpress.com/2013/12/a-14.jpg

Ab Sawaal Yeh Hai Kya Hazrat Shibli Rh. Aur Is Hikayat Ko Naql Karne Waale Hazrat Nizaamuddin Chisti Aur Isi Tarah In Malfozaat Ko Jama Karne Waale Hazrat Alama Sanjari Rahmatullahi Jinhone Bilaa Nakeer Yeh Waqia Malfoozaat Me Darj Kiya.

Kya Sabke Sab Kaafir Hogaya ?

Ek Aur Waqia Mulaaheza Farmaaya

2. Hazrat Khuwaja Moinuddin Chisti Ajmeri Rh. Ki Sawaaneh Umri Muqallab Ba Nawaaz Khuwaja Me Mazkoor Hai Ke Ek Shaks Hazrat Khuwaja Rh. Ki Khidmat Me Mureed Hone Ke Waaste Haazir Huwa.Aap Ne Uske Saamne Wahi Shart Rakhi Jo Ke Hazrat Shibli Rh. Ne Apne Mureed Ke Saamne Pesh Ki Thi.Us Shaks Ne Wo Shart Qubool Ki Toh Aap Ne Farmaaya Padho Laailaaha Illallah Moinuddin Rasoolullah Usne Pehle Inkaar Kiya Lekin Jab Dekha Ke Is Shart Ke Be-Ghair Bait Muhaal Hai Toh Jehran Wa Qehran Usne Laailaaha Illallah Moinuddin Rasoolullah.Iske Baad Hazrat Khuwaja Moinuddin Sahaab Rh. Ne Farmaaya Ke Yeh Mahez Tumaari Aqeedat Mandi Ka Imtehaan Tha Aqeeda Wahi Rakhna Jo Tumaara Tha Mai Toh Sirf Anhazrat Saw Ka Ek Adna Ghulaam Ho.

( Mussala Rashaul Khiyaar : Safa 54 , Fawaid ul Salekeen : 151 )

Scan Page : (Fawaid ul Salekeen)
http://ulamaehaqulamaedeoband.files.wordpress.com/2013/12/a-12.jpg

Ab Sawaal Yeh Hai Ke Kya Ahle Baatil ( Barelwi ) Hazraat Ke Nazdeek Hazrat Khuwaja Alaihir Rehma Kafir Hogaye (Nauzbillahi Min Zaalik )?

Agar Nahi Toh Kis Binaa Par , Alfaaz Toh Ba Zahir Kufriya Hai.

Aise Kufriya Alfaaz Kehne Ke Baad In Auliya Ikraam Ke Momin Baaqi Rehne Ki Kya Wajah Hai.

Aur Ajeeb Tareen Baat Yeh Hai Ke Agar In Auliyaa Ikraam Bedaari Ke Alam Me Yeh Alfaaz Kahe Aur Dusre Ko Kehne Ka Hukum De Toh Wo Momin Hai Lekin Koi Neend Ke Alam Me Khuwaab Me Kufriya Kalma Kehde Jiske Kehne Par Sharan Koi Pabandi Nahi Hai Wo Shaks Kaafir Aur Munaafiq Hojaata Hai.

Ghair Muqallideen Hazraat Se Sawaal :

Mai Samjhta Hu Ke Upar Ke Sawaal Bhi Ghair Muqallideen Ke Liye Kaafi Hai Lekin Unke Liye Hazam Hone Waala Sawaal Pesh E Qidmat Hai.

Saheeh Muslim Me Riwayat Maujood Hai Ke

(Muqtasaran Arz Karta Hu ) Ke Hazrat Anas Bin Malik Rdh. Bayaan Karte Hai Ke Anhazrat Saw Ne Farmaaya Ke Allah Tala Apne Bande Ki Tauba Se Jab Wo Tauba Karta Hai Us Shaks Se Bhi Zyaada Khush Hote Hai Ke Jo Sehra Me Apni Utni Par Sawaar Ho Aur Phir Uski Utni Gum Jaaye Aur Wo Aadmi Na Umeed Hokar Ek Daraqt Ke Saaye Me Aakar Lait Jaaye Usi Halaat Me Use (Apni) Utni Khadi Miljaaye , Wo Fauran Uski Nukail Pakde Aur Intehaai Khushi Ke Aalim Me Kehne Laga Ke Aye Allah Tu Mera Banda Mai Tera Khuda.

(Saheeh Muslim , Baab Ut Tauba , Hadees No 6960)
Scan Page :
http://ulamaehaqulamaedeoband.files.wordpress.com/2013/12/scan.png

Gharz Allah Tala Us Shaks Se Bhi Zyaada Apne Bande Ki Tauba Par Khush Hote Hai.

Sawaal : Is Hadees Me Us Shaks Ne Jiski Utni Gum Gaayi Thi Aur Milne Par Khushi Ke Aalam Me Kaha Ke Aye Allah Tu Mera Banda Mai Tera Khuda.

Yeh Alfaaz Kufr Ke Hai.

Ab Sawaal Ghair Muqallideen Se Yeh Hai Ke Kya Aisi Alfaaz Ko Naql Karne Waale Raaviyo Par Aur Imam Muslim Rh. Par Kufr Ka Fatwa Hai ?

Jabke Us Shaks Ne Jo Hazrat Thanwi Rh. Se Bait Hone Ki Niyyat Thi Usne Toh Neend Ki Halat Me Wo Alfaaz Padhe The Lekin Yaha Toh Is Uth Waale Shaks Ne Bedaari Ke Alam Me Kufr Waale Alfaaz Padhe Hai Aur Usko Huzur Saw Ne Sahaba Rdh. Me Bayaan Kiya Hai Aur Sahaba Rdh. Ummat Me Yeh Hadees Ko Bayaan Kiya Hai.

Jisko Imam Muslim Ne Apni Kitaab Me Naql Kiya Hai.

In Sab Par Kya Fatwa Lagenge ?

Bas Allah Hamaare Barelvi Aur Ghair Muqallideen Hazraat Ko Samjh Aata Farmaaya. Aur Allah Tala Tamaam Musalmaano Ki Tauheed Wa Sunnat Ki Hifaazat Farmaaye Aur Hum Sab Ko Apne Apne Waqt Par Kaamil Imaan Par Qatema Naseeb Farmaaye.

Ameen.
  • Pin It

No comments:

Post a Comment