Aiteraaz : Tausif ur Rehman Sahaab Kehte hai ke Fazail me Likha hai ke Hamaare jo Buzurg The ke wo KASHF ke Zariye Pehchaan Lete the, Wazu Karne waala Jab Wazu Karta, Toh phir wo bataate dete the ke
“Aye Bete Tune Yeh Gunaah kiya hai, Tere Paani me se Gunaah Gir Rahe hai.”
Phir Aage Aiteraaz karte huwe Kehte hai ke
Yeh Ghaib ki Khabar hai ke koi Aadmi Kya Karta hai ?
Pehli Baat Toh yeh hai ke Jis Buzurg ke bare me yeh waqiye mazkoor hai, wo Hazrat Imam e Azam Abu hanifa rh. hai.
Aisa Lagta hai ke Kitaab Dekhte huwe bhi Tausuf ur Rehman Sahaab ne Jaanbooch kar Imam Abu hanifa Rh. ke Naam Nahi padha, jabke Fazail e Amaal me Unka Naam Mazkoor hai.
Lehaaza Ghair muqallideen se guzaarish hai ke Ta’assub se Kaam Naa le.
Ab raha Jawaab Toh Khud Maulana Zakarriya Sahaab Rh. ne Saaf Taur se Likha hai ke
Aur Isi Janaab Tausuf ur Rehmaan Sahaab ne bhi kaha hai ke
“wo KASHF ke Zariye Pehchaan Lete the”.
Ab Sawaal Yeh hai ke Kashf aur Ilm e Ghaib Yeh Dono Ek hi Cheez hai.
Toh Humne Is baat ko Saabit kiya hai ke Kashf aur Ilm e Ghaib yeh dono me Bada Farqhai.
Sawaalaat :
Agar Tausuf ur Rehmaan aur Dunya ke Ghair muqallideen apni Baat wa Daaw’e me sach-che hai ke KASHF aur ILM E GHAIB yeh Dono Ek hi cheez hai, Unko chahiye ke Hamaare Darj e Zail Sawaalaat ka Jawaab de :
1 – Imam Ghazali Rh. Al Mutawaffa 505 Hij. , Hazrat Sayyidina Siddiq E Akbar Rdh. Ka Ek Kashf Naql Karne ke saat saat ISTEDLAAL Karte huwe Tehreer Karte Hai :
Hazrat Abu Bakr Siddiq Rdh. Ne Apni Wafaat Ke Waqt Apni Sahebzaadi Sayyida Hazrat Ayesha Rdh. Se Farmaaya Ke Mere Waaris Tumaare Alaawa Tumaare 2 Bhai Aur 2 Behne Hai (Halaanke Us Waqt Hazrat Ayesha Rdh. Ki Sirf Ek Bahen Hazrat Asma Rdh. Thi) Magar Hazrat Abu Bakr Rdh. Ki Hamal Se Thi Baad Me Unse Ladki Paida Huwi.
(Ahya Ul Uloom Lil Ghazali : Jild 3 : Safa 23)
Scan Page :
Sanad E Hind Imam Shah Wali Ullah Rh. Farmaate Hai Ke
Hazrat Siddiq E Akbar Rdh. Ne Hazrat Ayesha Siddiqa Rdh. Se Farmaaye : Jo Jaaidaad Maine Aapko Di Hai Agar Aap Ne Haasil Karliya Toh Theek Hai Warna Aap Ke Saat Aap Ke 2 Bhai Aur Behne Shareek Honge Yaani Sabko Miraas Me Milegi.
Toh Hazrat Ayesha Siddiqa Rdh. Ne Farmaaya Ke Meri Bahen Toh Yahi Asma Hai Dusri Bahen Kaun Si Hai ? Toh Hazrat Siddiq E Akbar Rdh. Ne Farmaaya Ke Mai Samjhta Hu Ke Bint E Khaarja (Siddiq E Akbar Ki Aahliya) Ko Ladki Ka Hamal Hai Aur Uske Pait Me Ladki Hai.
Shah Wali Ullah Rh. Farmaate Hai Ke Siddiq E Akbar Rdh. Ki Wafaat Ke Baad Hazrat Ayesha Rdh. Ki Bahen Umme Kulsum Paida Huwi.
Hazrat Shah Wali Ullah Rh. Ne Is Waqiye Se KASHF PAR ISTEDLAAL Kiya Hai , Chunaanche Unwaan Bandhkar Likhte Hai :
Yeh Waqiya Hazrat Siddiq E Akbar Rdh. Ka Kashf Hai Ke Allah Tala Ne Chupi Huwi Baato Ko Unpar Zaahir Kardiya.
(Ezaalatul Khafaa : Jild 3 : Safa 77)
Aur Hazrat Abu Bakr Siddiq Rdh. Ka Yeh Waqiya , Imam E Darul Hijrah Imam Malik Rh.Al Mutawaffa 179 Hij. Ne Bhi Apni Muwatta Me Sanad ke Saat Naql Kiya Hai.
(Muwatta Imam Malik : Jild 2 : Safa 1089 , Safa 2783)
(Sunan e Kubra Lil Behaiqi : Jild : Safa 280-281, Hadees no 11948)
Scan Page : Muwatta Imam Malik
Wazaahat :
Is Waqiye me Hazrat Abubakr Rdh. Ko yeh Kaisa pata chalgaya ke Unki Ahliya (Biwi) ke Pait me Ladki ka Hamal hai.
Yeh bhi Toh Ilm e Ghaib hai.
2 – Hazrat Rabii Rh. Farmaate hai ke :
Mai (Rabii Rh.) Muzani Rh., aur Buwaiti Rh. Imam Shafaii Rh. ki Khidmat me Haazir the.
Aap Rh. ne Hamaari Taraf Nigaah ki aur Mujhse Farmaaya : Tum Hadees Shareef ki Khidmat karte huwe is Dunya se Rukhsat Hojaoge.
Mazni Rh. ki taraf dekh-kar farmaaya :
Agar Shaitaan unse munaazera kare toh yeh iska La-jawaab kardenge aur uspar ghaalib aajayenga.
Uske baad Buwaiti Rh. (ko Dekh-kar) Farmaaya : Lohe (IRON) me Tumaara Inteqaal hoga.
Rabii Rh. Farmaate hai ke Buwaiti Rh. Jab Qaid bandi ke daur se guzar rahe the, mai unke paas gaya toh maine dekha ke wo bediyo me jakde huwe hai.
(Manaaqib ush Shafaiii Lil Behaiqi : Jild 2 : safa 136)
Scan Page :
Wazaahat :
Is riwayat se Imam Behaiqi Rh. ne Aitejaaj kiya hai Jo ke Saheeh Hone ki Daleel hai.
Ghair Muqallideen Hazraat, Dil par Haat rakh-ke Bataaye ke Imam Shafaii Rh. ko kaisa Pata chala ke Buwaiti Rh. ki Maut Lohe (IRON) me hogi.
Kya ab Imam Shafaii Rh. ko Ghaib ka Ilm hai ?
3 – Imam Umar bin Ali Bazzaar Rh. Al Mutawaffa 748 Hij. Jo ke Imam Ibn Taimiya Rh. ke shaagird hai Farmaate hai ke
Mai Jin dino Aap ki Khidmat Rehta tha, Un Aiyyaam me Kisi Masle se Mutalliq koi Baat mere Zehen me Aati,
TOH ABHI WO KHIYAAL PURA BHI HOTA THA, AAP WO SHUBHA ZIKR KARTE AUR KAI TARAH SE USKA JAWAAB DETE THE.
(Kitaab ul A’alaam : 53-54)
Scan Page :
Sawaal :
Dilo ka Haal Toh Sirf Allah tala ko hai, Lekin Yaha Imam Ibn Taimiya Rh. ko bhi Lagta hai Ilm e Ghaib hai.
Kuch Tabserah Ispar bhi Kare ?
4 – Maulwi Hussain Ahmed Taajir ka bayaan hai ke Mujhe Dard e Kamar ki Shadeed Shikaayat rehti thi.
Aur Isi Wajeh se mai Namaz Ba-jamaat aada karne se Majboor tha Kyunke ahlehadees Subaah ki Namaz me Lambi Qirat karte hai aur mai Khada Nahi hosakta tha.
Ek Din Qaazi Sahaab ki Masjid me Namaz e Subaah ke liye Chala gaya, Qazi Sahaab Sureh Al Imraan Padh rahe the.
2 Ruku Padhe honge ke Mujhe Kamar dard Shuru hogaya aur maine Iraada kiya ke Ab Namaz Tord du, Ma’an [Saat hi] Qazi Ji ne Allahu akbar kaha aur Ruku (me)Chalegaye.Phir Dusri Rakaat me Mukhtasar Qiyaam kiya aur Salaam Phairdiya.
Maulwi Hussain Ahmed ka Bayaan hai ke
Qareeban 8 Martaba Aazmaaya, Halaanke Mai Jamaat me kisi ke saat baad me shareek hota tha aur hazrat qazi sahaab ne meri aamad ka koi ilm na hota tha.
Isse Mai Andaaz lagaaya ke Aap Sahaab e Kashf hai.
(Karaamat e Ahlehadees : 86-87)
Scan Page :
Sawaal :
Ghair muqallideen hazraat ke Guzarish hai ke Apne Qazi sahaab aur Maulwi Hussain Ahmed Jo ke Is Waqiye ko bayaan karte hai, inpar Kya Hukum Lagega aur Ab Inka Aqeeda bhi Kufriya aur Shirkiya hai ?
5 – Shaikh ul Hadees Maulana Zakarriya Rh. ne Yeh Waqiya Imam Abdul Wahab Sha’araani Rh. Al Mutawaffa 973 Hij. ki Kitaab Mizaan ul Kubra se Naql kiya hai.
Scan Page : Mizaan ul Kubra
Lehaaza Aiteraaz Naql Karne Waale par Kyun hai ?
Mazeed Khud Hazrat Shaikh ul Hadees Rh. Saaf Taur se Likh rahe hai ke
Allama Sha’araani Rh. ne Mizaan ul Kubra me Likha hai ke …………. Phir Pura Qissa Naql kiya hai. (Fazail e Amaal : Jild 1 : Safa 453, Fazail e Zikr)
Scan Page :
Lehaaza Hawaala Nahi Pardke Sirf Waqiya Sunaa dena Yeh Tausuf ur Rehman Sahaab ki Badi Jehalat wa Ilmi Qiyaanat hai.
Algarz Allah tala Haq Samjhne ki Taufeeq Aata Farmaaye…..ameen.
Aur Ghair Muqallideen se Guzarish hai ke wo In 5 Sawaalaat ka Jawaab de, aur Jis Tarah Fazail e Amaal par Aiteraaz karte hai, In Hadeeso aur Muhaddiseen par bhi Kuch Apna Zaati Tabserah Kare.

Balke
Imam Ibn ul Qayyim Rh. Al Mutawaffa 751 Hij. Farmaate hai ke
وَلَيْسَ هَذَا من علم الْغَيْب
Kashf Ilm e Ghaib Nahi hai.
(Kitaab ur Ruh : Safa 670)
Aur Iski Tafseel Humne Pehle hi Bayaan Kardi hai.