Fazail e Amaal par Waswasa Part-7 (Shunaiziya ki Masjid me Hazrat Junaid Rh. ka Waqiye) ka Jawaab

Saturday, January 25, 2014
Aiteraaz : Tausif ur Rehman Sahaab ne Junaid Baghdadi rh. ke Waqiye par Aiteraaz kiya aur Ilzaam lagaya ke Ulama e Deoband ka Aqeeda hai ke Auliya Allah ko Ilm e Ghaib hai.

Al – Jawaab :
Ek Ghalat Bayaani : Tausif ur Rehman Sahaab Kehte hai ke
Junaid Baghdadi Ek Martaba Shaitaan ko Dekhte hai Nanga Phir Raha tha , Junaid ne Kaha ke Tujhe Sharam Nahi Aati ke Tu Nanga Phirta hai.

Kaha Mai Mardo ke Saamne Nanga Phirta hu , Yeh Koi Mard hai , Mard Toh WO TABLEEGHI JAMAAT KI JO MASJID Shunaiziya Hai Usme Baithe Huwe hai , wo asal Mard hai Jo Zikr Kar Karke Mera Jigar Jala Diya hai……..
Dekhiye Tausuf Sahaab Ki Video Clip Fazail E Amaal Ki Haqiqat:-



Jabke Fazail e Amaal me Jo Jumle Tausif ur Rehman Sahaab ne Kahe hai "WO TABLEEGHI JAMAAT KI JO MASJID" Qatan Maujood hai.


  • Fazail e Amaal ke Alfaaz Mulaaheza Farmaaye :


Hazrat Junaid Rh. ne Naql kiya gaya hai ke inhone ek martaba shaitaan ko bilkul nanga dekha , inhone farmaaya tujhe Sharam nahi aati ke aadmiyo ke saamne nanga hota hai.

Wo kehne laga ke yeh koi aadmi hai , aadmi wo hai jo shunaiziya ki masjid me baite hai , jinhone mere badan ko dubla kardiya aur mere jigar ke khawaab kardiye , hazrat junaid rh. farmaate hai ke maine shunaiziya ki masjid me gaya.

Maine dekha ke chand hazraat ghutno par sar rakhe huwe muraaqeba me mashghoolhai.Jab inhone mujhe dekha toh kehne lage ke khabees ki baato se kahi dhoke me na pard jaana.

(Fazail e Amaal : Fazail e Zikr : Safa 345)

Scan Page :


Wazaahat :

Un Hazraat ne Jo Jawaab Diya hai ke “KHABEES KI BAATO SE KAHI DHOKE ME NA PARD JAANA” , Yeh Baat unpar Kashf ke Zariye Munkashif(Zaahir) Hogayi thi.

Kashf Quraan se Saabit hai :

http://www.anjuman.info/2014/01/kashf-ka-suboot-quran-aur-tafaseer-e.html

Aur Khulfa e Rasheedin se bhi Iska Saboot Milta hai :

http://www.anjuman.info/2014/08/kashf-wa-karaamat-aur-khulfa-e.html

In Dono ko Khalat Malat karke ek bataana Tausuf ur Rehman Jaisa Jaahil Maulwiyo ka hi Kaam hai.

Kashf ko Ilm Ghaib Kehne Waalo se Sawaal :

Imam Nawawi Rh. , Imam Ibn Qayyim Rh. , Imam Qurtubi Rh. , Imam Raazi Rh. , Imam Ghazali Rh. In Pancho Aimma e Ikraam ne Hazrat Usmaan Rdh. Ka Ek Waqia Naql kiya hai :

Hazrat Usmaan Rdh. Ke paas ek aadmi aaya jiski nigah raaste me kisi aurat par pard gayi thi Toh Hazrat Usmaan Rdh. Ne Farmaaya :

عثمان رضي الله عنه لما دخلت يدخل علي أحدكم وأثر الزنا ظاهر على عينيه أما علمت أن زنا العينين النظر لتتوبن أولأعزرنك فقلت أوحي بعد النبي فقال لا ولكن بصيرة وبرهان وفراسة صادقة

Yahi Ibaarat Maamuli Ikhtelaaf e Lafzi ke Saat Darj e Zail Kitaabo me Maujood hai :

(Ahya Uloom ud Deen : Jild 3 : Safa 23-24)

(Tafseer e Qurtubi : Jild 12 : Safa 236)

(Tafseer e Raazi : Jild 21 : Safa 89)

(Kitaab ur Ruh : Safa 675)

(Bastaan ul Aarifeen : Safa 388)

(Al Misdarus Saabiq : Jild 2 : Safa 393)

Scan Page : Bastaan ul Aarifeen


Scan Page : Kitaab Ur Ruh




Scan Page : Ahya Ul Uloom Ud Deen


Scan Page : Tafseer e Qurtubi


Scan Page : Tafseer E Kabeer Lir Raazi


Agar Un Hazraat ka Junaid Baghdadi Rh. ko Dekh kar Kehna ke “khabees ki baato se kahi dhoke me na pard jaana” Ilm e Ghaib hai.

Toh Yaha Is Waqiye me bhi Hazrat Usmaan Rdh. Ko Kaise Pata Chal Gaya ke Is Aadmi ne raaste me Ghair Mehram Aurat ko Dekha hai.

Kya Yeh Ilm e Ghaib nahi hai Ba-Qaul e Tausuf ur Rehman Sahaab ke.

Pas Jo Jawaab Aap Hazrat Usmaan Rdh. Ke Waqiye ka Denge Wahi Jawaab Hamari Taraf se Is Waqiye ke Mutalliq Hoga.

Note : Hamaara Yeh kehna hai ke Shunaiziya ki Masjid me Baithe Hazraat Ko Allah Tala ki Taraf se Kashf Huwa Jiski Wajeh se Unko Hazrat Junaid Rdh. ke Ahwaal maloom hogaye.

Jis Tarah Hazrat Usmaan Rdh. Ko Kashf ke Zariye Us Aadmi ki Badnazri Maloom hogayi thi.

Aur Yeh Waqia Hazrat Shaik ul hadees Rh. ne Imam Yafa’i Rh. (Siqa) ki Kitaab (Rauz ur Riyaaheen) se Naql kiya hai.

Scan Page : Rauz ur Riyaaheen


Scan Page : Rauz ur Riyaaheen Mutarjim


Lehaaza Ghair Muqallideen Hazraat ! Apko Naql Karne Waale Par hi Aiteraaz hai Kyun hai , Asal Aiteraaz Toh Aapko Waqiye ke Tehreer Karne Waale par Karna Chahiye.
  • Pin It