Kashf Par Bahez Shuru Karne Se Pehle Kashf Ki Ta’areef Ka Zikr Karna Munaasib Samjhta Hu Taake Samjhne Me Aasaani Ho.
Kashf Ki Ta’areef :
Kashf Ki Ta’areef Karte Huwe Ghair Muqallid Aalim Shaik Abdullah Nasir Rehmani Sahaab Likhte Hai Ke :
Kashf Yaani Koi Banda Aisi Baat Sune Jo Kisi Aur Ne Nahi Suni , Ya Aalam E Paak ya Bedari Me Kuch Dekhe Jise Kisi Aur Ne Nahi Dekha Ya Aisi Ilm Kisi Aur Ke Paas Nahi Hai.
Is Cheez Ko Kashf Kehte Hai. (Aqeedatun Firqatun Naajiya : Safa 335)
Hum Ahle Sunnat Wal Jamaat Ne Ka Yeh Aqeeda Hai Ke Kashf Wa Ilhaam Ke Zariye Allah Tala Apni Dosto Aur Bando Ko Ghaib Ka Haal Bataa Deta Hai.
Fail Allah Tala Ka Hota Hai Aur Zaahir Bande Par Hota Hai.
Lehaaza Auliya Ko Kashf Hota Hai Aur Kashf Wa Karamaat Ko Hum Ahle Sunnat Wal Jamaat Haq Aur Sach Maante Hai.
Kashf Wa Karamaat Ka Suboot Quran , Tafaseer E Quraan Se :
1-Alama Khazin Rahmatullahi Alai Sureh Hijr Ki Aayaat " في ذلك لآيات للمتوسمين" Ki Tafseer Karte Huwe Likhte Hai :
Imam Mujahid Rh. Farmaate Hai Ke Muta-Wassimeen Ka Matlab Hai Firaasat Waale Aur Is Ta’aweel Ki Taaid Is Hadees Se Ho Rahi Hai Jo Hazrat Abu Saeed Khudri Rdh. Se Riwayat Hai Ke Huzur Saw Ne Irshaad Farmaaya Ke Momin Ki Firaasat Se Daro Kyunke Wo Allah Tala Ki Di Huwi Baatini Rooshni Ke Zariye Dekhta Hai ,
Phir Huzur E Aqdas Saw Ne Ba-Taur E Taaid Ke Quraan E Karim Ki Isi Aayaat Ko Tilaawat Farmaaya. (Tafseer E Khazin : Jild 3 : Safa 60 , Sureh Hijr )
Scan Page :
Hazrat Abu Saeed Khudri Rdh. Ki Mindarjah Baala Hadees E Mubarak Isi Baat Par Dalalat Kar Rahi Hai Ke Firaasat E Imaani , Baatini Noor Hai Jisko Allah Tala Apne Khaas Dosto Ke Dilo Me Daal Dete Hai Jiski Bunyaad Par Wo Allah Waalo Ke Baaz Ahwaal Ko Ba-Taur E Karamaat Maloom Karlete Hai.
2-Alama Aalusi Rh. Likhte Hai :
Basa Auqaat Rab Tala Apne Khaas Bando Par Ache Halaat Zaahir Farmaadete Hai Pas Wo Allah Waale Wo Kuch Dekhte Hai Jo Aam Log Nahi Dekh Sakte.
(Ruhul Ma’ani : Jild 22 : Safa 296 , Sureh Ahzaab)
Scan Page :
Is Ibaarat Se Maloom Huwa Ke Alama Aalusi Wali Ke Liye Kashf Ke Qaayil Hai.
3-Isi Tarah Alama Aalusi Rh. Sureh Tahrim Ke Ayaat No 11 Me Hazrat Aasiya Rdh. Ki Dua
5- Ibn Kaseer Rh. Ne Farmaaya :
وكشف الغطاء عن ثوبها ومنزلتها وكرامتها في الجنة لامرأة فرعون حتى رأت
Jannat Me Uske Ikraam Waale Ghar Se Parda Khol Diya Yaha Tak Usne (Hazrat Aasiya Rdh. Ne) Dikh Liya.
(Tafseer Ibn Kaseer : Jild 8 : Safa 198)

"رَبِّ ابْنِ لِي عِنْدَكَ بَيْتًا فِي الْجَنَّةِ" Ke Tahet Likhte Hai :
فكشف الله لها عن بيتها في الجنة
Allah Ne Uske Liye Kholdiya Uske Ghar Ko Jannat Me Yaani Dunya Me Rehte Huwe Allah Tala Ne Hazrat Aasiya Rdh. Ko Kashf Ke Zariye Se Apna Ghar Jannat Me Dikha Diya.
Aur Iske Saboot Ke Liye Ek Hadees Zikr Karte Huwe Farmaate Hai :
(Ruhul Ma’ani : Jild 28 : Safa 495)
Balke Alama Aalusi Rh. Ki Tarah Degar Be-Shumaar Mufassireen Ikraam Ne Bhi Is Tarah Likha Hai:
4- Ibn Jauzi Rh. Ne Likha Hai :
فكشف الله لها عن بيتها في الجنة حتى رأته قبل موته
Allah Ne Uske Liye Kholdiya Uske Ghar Ko Jannat Me Yaha Tak Ke Usne Apne Maut Se Pehle Usko Dekh Liya (Ba-Zariye Kashf Se).
(Zaad Ul Maseer : Jild 8 : Safa 85)

Lehaaza Maloom Huwa Ke Kashf Ka Zikr Quraan E Paak Me Maujood Hai. Aur Yahi Wajeh Hai Ke
Ghair Muqallid Aalim Abu Hamza Abdul Khaliq Likhte Hai Ke
Jis Tarah Karamaat Quran Wa Hadees Se Saabit Hai , Is Tarah Kashf Bhi Quran Wa Sunnat Se Saabit Hai , Jo Unka Ka Inkaar Karega Gooya Wo Quran Wa Hadees Ka Inkaar Karta Hai. (Auliya Allah Ki Pehchaan : Safa 427)

Aur Yaad Rahe Ke Yeh Kitaab ( Auliya Allah Ki Pehchaan) Par 3 Ulama Ki Taqdeem Aur Takhreej Hai.
Taqdeem : Shaik Ul Hadees Abdullah Nasir Rehmani Sahaab.
Takhreej : Hafiz Hamid Mehmood Sahaab , Hafiz Abu Bakr Sahaab.
Ta’aleef : Abu Hamza Abdul Khaliq Siddiqui Sahaab.
Goya 4 Ghair Muqallideen Ulama Ka Yeh Fatwa Hai Ke Jo Kashf Ka Inkaar Karta Hai Wo Quraan Wa Sunnat Ka Inkaar Karta Hai.
Li Jiye , Ghar Ko Aag Li
Ghar Ke Chiraagh Se.