Aiteraaz : Tausif
Ur Rehman Sahaab Ne Shaik Abu Yazeed Qurtubi Rh. Ke Waqiye Par Aiteraaz Kiya
Aur Ilzaam Lagaya Ke Ulama E Deoband Ka Aqeeda Hai Ke Auliya Allah Ko Ilm E
Ghaib Hai. (Nauzbillahi Min Zaalik)
Al – Jawaab : Sabse
Pehle Shaik Abu Yazeed Qurtubi Rh. Pura Waqiya Mulaaheza Farmaaye
Shaik Abu
Yazeed Qurtubi Rh. Farmaate Hai –Maine Yeh Suna Ke Jo Shaks 70,000 Martaba
Laailaaha Illahaahu Padhe Usko Dozaq Ki Aag Se Najaat Milegi.
Maine Yeh
Sunkar Ek Nisaab Yaani 70,000 Ki Ta’adaad Apni Biwi Ke Liye Padha Aur Kai
Nisaab Khud Apne Liye Padhkar Zaakhira E Akhirat Banaaya.Hamaare Paas Naujawaan
Rehta Tha.
Jiske Mutalliq Yeh Mashoor Tha Ke Yeh SAHAAB E KASHF Hai.Jannatdozaq
Ka Bhi Usko Kashf Hota Hai Mujhe Iski Sehat Me Tard-Dud Tha.Ek Martaba
Wo Naujawaan Hamaare Saat Khaane Me Shareek Tha Ke Dafa’atan Usne Ek Cheekh
Maari Aur Saans Pholna Laga Aur Kaha Ke “Meri Maa Dozaq Me Jalrahi Hai Uski
Halaat Mujhe Nazar Aayi”
Shaik Qurtubi Rh. Kehte Hai Ke Mai Uski
Ghabraahat Dekh Raha Tha.Mujhe Khiyaal
Aaya Ke Ek Nisaab Uski Maa Ko Bakhash Du Jisse Uski Sach-Chaayi Ka Bhi Mujhe
Tajruba Hojayega.Chunaanche Maine Ek Nisaab 70,000 Ka Un Nisaabo Me Se Jo Apne
Liye Padhe The Uski Maa Ko Bakhash Diya , Maine Apne Dil Me Chupke Hi Se
Bakhsha Tha
Aur Mere Is
Padhne Ki Khabar Allah Ke Siwaa Kisi Ko Na Thi Magar Wo Naujawaan Fauran Kehne
Laga Ke Chacha Meri Maa Dozaq Ke Azab Se Hataa Di Gayi.
Qurtubi Rh.
Kehte Hai Ke Mujhe Is Qisse Se 2 Faide Huwe Ek Toh Us Barkat Ka Jo 70,000 Ki
Miqdaar Par Maine Suni Thi Uska Tajruma Huwa Dusra Us Naujawaan Ki Sach-chaai
Ka Yaqeen Huwa.
(Fazail E Amaal : Fazail E Zikr
: Safa 387 )
Scan Page :
Wazaahat : Is Naujawaan Ladke Ka Waqia Kashf Ke Mutalliq Hai Jaisa
Ke Khud Shaikh Ul Hadees Rh. Ne Wazaahat Ki Hai Ke Ke “ Yeh SAHAAB E KASHF Hai”.
Kashf Aur
Ilm E Ghaib 2 Alag Alag Baatein Hai Jaisa Ke Humne Wazaahat Ki Hai.
In Dono Ko
Khalat Malat Karke Ek Bataana Tausuf Ur Rehman Jaisa Jaahil Maulwiyo Ka Hi Kaam
Hai.
Aur Kashf Ko
Humne Quran Aur Uski Tafseer Ki Roshni Me Saabit Kiya Hai.
Aur Isi
Tarah Kashf Khulfa e Rasheedin se Bhi Saabit hai.
http://www.anjuman.info/2014/08/kashf-wa-karaamat-aur-khulfa-e.html
Kashf Ko Ilm Ghaib Kehne Waalo
Se Sawaalaat :
1 – Saheeh Bukhari Me Riwayat Hai Ke Uhud Ki
Ladaayi Hazrat Anas Bin Nazr Rdh. Ne Hazrat Sa’ad Bin Ma’az Se Kaha Ke “Aye
Sa’ad ! Kaha Jaa Rahe Ho.Khuda Ki
Qasam JANNAT KI KHUSBO UHUD KE PAHARD
SE AARAHI HAI. (Saheeh Bukhari : Hadees No 2805)
Scan Page :
Agar Dunya
Me Rehte Huwe Jannat Ya Uske Halaat Ka Munkashif (Zaahir) Hona Ilm E Ghaib Hai.
Toh Hazrat
Anas Bin Nazr Rdh. Ko Dunya Me Rehte Huwe Jannat Ki Khusbo Aana ,Yeh Bhi Tausuf
Ur Rehman Ke Ba-Qaul Ilm E Ghaib Hai.
TOH PHIR ANAS BIN NAZR RDH. ,
IS HADEES KE SANAD KE RAAVIYO AUR ISKO NAQL KARNE WAALE IMAM BUKHARI RH. PAR
KYA FATWA LAGEGA ?
Note : Hum Ahle Sunnat Wal Jamaat Ka Kehna Hai Ke Dunya Me Rehte
Huwa Hazrat Anas Bin Nazr Rdh. Jannat Ki Khushbu Aana , Yeh Kashf Hai. Allah
Tala Unpar Jannat Ki Khusbo Zaahir Kardi Hai.
2- (Hindustaani Jinnaat Ka Imam Ahmed Rh. Ke Daur
Me Jannat Ke Paani Ke Zariye Elaaj Karna)
Hazrat
Fauzaan Rh. Bayaan Karte Hai Ke
“ Abu
Abdullah (Imam Ahmed Rh.) Ko Jab Jail Me Kodo Se Mara Gaya, Toh Kuch Dair Ke
Baad Ek Naujawaan Aap Rh. Ke Paas Aaya, Uske Haat Me Ek Shishi Thi, Jisme Mushk
Jaisa Khushbo Daar Paani Tha.
(Aur) Teesre
Rooz Imam Ahmed Rh. Ke Jism Par Maaro Ke Nishanaat Ubhar Aaye The Aur Saqt
Takleef Thi, Us Naujawaan Ne Kaha : Mai Aap Rh. Ko Allah Ki Qasam Dekar
Darqaast Karta Hu Ke Mujhe Aap Elaaj Karne Dijiye, Imam Ahmed Rh. Ne Ijaazat
Dedi.
Us Naujawaan Ne Aap Rh. Ke Badan Par Paani
Bahaaya Aur Usko Mal Diya, Tab hi Dard se Sukoon Milgaya.Jab Darogha
e Jail ne Yeh Manzar Dekha, Toh wo Naujawaan ke Peeche Holiya aur Usse Arz Kiya
: Usme se Kuch Paani Mujhe bhi Dede, Naujawaan ne Jawaab Diya : Yeh Baat Bilkul
durust Nahi hai, Kyunke YEH JANNAT KA PAANI HAI.
Jisko
Hindustaan ki Sar-Zameen me Aadam AS ke Baad Utaara Gaya, Mera Talluq Isi
Sar-zameen ke Jino se hai.
Yeh Kehkar wo Naujawaab Ghaayab Hogaya aur
Daarogha Haanpta Kaanpta Waapis Huwa. (Taqbaat e Hanaabila : Jild 2 : Safa 44-45)
Sawaal :
Mazkoora
Waqiye me Jinn ka Imam Ahmed Rh. ko Nazar Aajaana, Phir Us Jinn ko Jannat ka
Paani Milna aur Usse Imam Ahmed Rh. ko Shifa Pa-Jaana, Yeh Sab Ghaib ki Baatein
hai.
Aur Agar
Jannat ki Naimato aur Uske Halaat ka Zaahir Hona Ilm e Ghaib hai (Jaisa ke
Shaik Abu Yazeed Qurtubi Rh. ke Waqiye ko Bayaan Karke, Ghair Muqallideen kehte
hai) Toh Phir Musannaf e Tabqaat, Imam Abul Hasan Ibn Abi Ya’ala Rh. aur Isi
Tarah Imam Ahmed Rh. ke Bare me Ghair Muqallideen ka Ab kya Mauqoof Hoga ?
Aur Isi
Tarah Is Waqia Me Allah Tala Ne Us Naujawaan Ladke Par Bhi Jannat Wa Dozaq Ke
Halaat Zaahir Kardiye Hai.
3- Aur Yeh Waqia Hazrat Shaik Ul Hadees Rh. Ne
Apni Taraf se Nahi Likha, Balke Imam Yafa’i Rh. (Siqa) Ki Kitaab (Rauz Ur Riyaaheen) Se Naql Kiya Hai.
(Rauz ur Riyaaheen : Safa
275-276)
(Rauz ur Riyaaheen Mutarjim :
Safa 345)
Ghair
Muqallideen ! Aapne Jo Fatwa Shaik Ul Hadees Rh. Aur Ulama E Deoband Par Lagaya
Hai , Kya Aap Hazraat Wahi Fatwa Imam Yafa’i Rh. Par Lagaa Sakte Ho ???
4 – (Ghair Muqallideen Ahle hadees ke
Faziltus-Shaikh Syed Sanaullah Gilaani Rh. ke Waalid e Mohtaram ko Dunya hi me
Jannat ki Bashaarat)
Unke bare
Likha hai ke
“……. Shah
Sahaab Rh. Masjid me Aitekaaf me Bait-gaye, Din aur Raatein Guzarne Lagi aur
Jab Ramzaan ul Mubarak ki Aakhri Raatein Aagayi.
Ek Raat
Namaz e Taraveh se Faraaghat ke Baad Hum Apne Khaimo me Chale, Ghaliban Yeh
Aakhri Taaq Raat ka Waqiya hai Maine Muta’aliqeen (Rishtedaar) Hazraat ko
Tamaam Raat Be-daar Rehne ki Talqeen ki aur Apne Khaime me Chala Gaya, Jab Raat
Aadhi se Zyaada Beet Gayi Toh Aksar Aaitekaaf Waale Apne Apne Khaimo me Sogaye
ke Achaanak Light Chali Gayi, Abhi Light Gayi Huwi Thi ke Mai Apne Khaime Jaag
Raha tha, ke
Masjid me Ek Nuraani Noor se
Buqe Noor(Noor ki Rooshni Bangayi) aur Awaaz Aayi Barakallah Shah Jannati
hai, Maine Yeh Awaaz Sunli (aur) Bada Hairaan Huwa, Saat hi
Baher Nikla, Dekha Toh Baher Koi Na Tha…………..” (Ulama e Ahlehadees ka Zauq e Tawassuf : Safa 57-58)
Scan Page :
Sawaal : Ahle Hadees Bhaiyo ! Dunya me Rehte Huwe Aapke Apne Maulwi ko Jannat ki
Basharat Milgayi, Toh Ab Aap Isko Ilm e Ghaib Kahoge ya Ilhaam ?
5- Mazeed Arz Karde Ke Yeh 70 ,000 Martaba
Kalima Ka Nusqa Nawaab Siddiq Hasan Khan Ne bhi Kitaab Ut Ta’awizaat : Safa 122 Old Edition Par Naql Kiya Hai.
Scan Page :
aur Humne Ba-taur e Namuna (Examples) Upar
Waqiyaat Zikr Kiye hai Jinme Ghaib ki Baatein Zaahir Hone ka Zikr hai.