Ulama e Deoband (Shah Ismail Shaheed Rh.) par Aiteraaz (Roza E Athar Ka Faqat (Sirf) Ziyaarat Ke Liye Safar Karna Shirk Hai ) Ka Jawaab
Ahle Baatil ka Aiteraaz : Roza E Athar Ka Faqat(Sirf) Ziyaarat Ke Liye Safar Karna Shirk Hai. (Taqwiyatul Imaan : 28 ,23 , 24)Al – Jawaab : Yeh Ibaarat Taqwiyatul Imaan Me Nahi Hai Balke Isme
Sureh Hajj ki Ayaat No 27 , 28 aur 29 Hai.
In Aayaat Ke Tarjuma Ke Baad Maulana Ismail Shaheed Rh. Farmaate Hai
" Ke Allah Paak Ne Ta’azeem Ke Liye Baaz Baaz Makaan Tehraaye Hai Jaise Kaabah , Arfaat , Muzallifa , Mina , Safa, Marwa , Maqaam E Ibrahim , Masjid Haraam Aur Logo Ke Dil Me Waha Jaane Ka Shauk Daal Diya Ke Har Taraf Se Khuwa Sawaar Khuwa Piyaada Door Da-Raaz Se Qasd Karte Hai.
Aur Ranj Wa Takleef E Safar Ki Utaar Kar Maile Kuchle Hokar Pahuchte Hai Aur Unke Naam Par Waha Jaanwar Zubaah Karte Hai.Apni Minnate Aada Karte Hai.
Aur Uska Tawaaf Karte Aur Apne Maalik Ki Ta’azeem Jo Dil Me Bhari Badi Hai Waha Jaakar Khoob Nikaalte Hai.Koi Choukhat Ko Choomta Hai Koi Darwaaze Ke Saamne Dua Karta Hai.Koi Ghilaaf Pakard Huwe Iltaija Kar Raha Hai.Koi Uske(Kaabah Ke) Paas Aitekaaf Ki Niyyat Se Baitkar Raat Wa Din Allah Ki Yaad Me Mashghool Hai.KoiAdab Se Khada Usko(Kaabah Ko) Dekh Raha Hai.
Gharz Is Qism Ke Kaam Allah Ki Ta’azeem Ke Karte Hai. Aur Allah Unse Raazi Hai Aur Unko Deen Wa Dunya Ka Faida Hasil Hota Hai Sau Is Qism Ke Kaam Kisi Aur Ki Ta’azeem Ke Liye Na Kiye Jaaye Aur Kisi Ki Qabar Par Ya Kisi Ke Yhaan Par Dur Dur Se Qasd Karna Aur Safar Ki Ranj Wa Takleef Utaakar Maile Kuchle Hokar Waha Pahuchna Aur Waha Jaakar Jaanwar Chardhaana Aur Mannate Puri Karna Aur Kisi Qabar Ya Makaan Ka Tawaaf Karna Uske Gird Wa Pesh Ke Jungle Ka Adab Karna Aur Unse Kuch Deen Wa Dunya Ke Faida Ki Tauze Rakhna Yeh Sab Shirk Ki BaateinHai.Unse Bachna Chahiye Kyunke Yeh Mu-aamla Khaaliq Hi Se Karna Chahiye Kisi Maqlooq Ki Yeh Shaan Nahi Ke Usse Yeh Mu-aamla Kiya Jaaye.
(Taqwiyatul Imaan : 33 )
Scan Page :
Conclusion (Khulaasa) : Khulaasa Yeh Hai Ke Jo Mu-Aamla Allah Paak Ke Saat Karna Chahiye Wo Mu-Aamla Kisi Maqlooq Ke Saat Na Kiya Jaaye.
Naazireen ! Khud Kare Ke Is Puri Ibarat Me Kaha Ghalat Baat Likhi Huwi Hai Aur Ahle Baatil Ne Jo Baat Likhi Hai Ke Roza E Athar Ki Ziyaarat Ke Liye Safar Karna Shirk Hai Wo Is Kitaab Me Kaha Likha Huwa Hai.
Aur Roza E Athar Ki Ziyaarat Ke Liye Safar Karne Me Ulama E Deoband Ka Aqeeda Hai Jo Darj E Zail Likha Hai :
(Aqaid Ulama E Deoband : 30)
Scan Page :
Naazireen ! Khud Kare Ke Is Puri Ibarat Me Kaha Ghalat Baat Likhi Huwi Hai Aur Ahle Baatil Ne Jo Baat Likhi Hai Ke Roza E Athar Ki Ziyaarat Ke Liye Safar Karna Shirk Hai Wo Is Kitaab Me Kaha Likha Huwa Hai.
Aur Roza E Athar Ki Ziyaarat Ke Liye Safar Karne Me Ulama E Deoband Ka Aqeeda Hai Jo Darj E Zail Likha Hai :
- Hamare Nazdeek Aur Hamare Mashaiq Ke Nazdeek Ziyaarat E Qabare E Syedul Mursaleen Alaa Darje Ki Qurbat Aur Nihaayat Sawaab Aur Sabab E Husool E Darjaat Hai Balke Waajib Ke Qareeb hai:
(Aqaid Ulama E Deoband : 30)
Scan Page :
2. Hakeem Ul Ummat Hazrat Maulana Ashraf Ali Thanwi Rh. Farmaate Hai : “ Huzur Saw Ke Mazaar Mubarak Par Qasdan Jaane Ko Hum Mustaheb Balke Mokida Kehte Hai Aur Hamaare Baaz Ulama Ka Wajoob Tak Qiyaal Hai.
(Imdaad Ul Fatawa : Jild 6 : Safa 327 , Sawaal No : 322 )
Scan Page :
Scan Page :
3. Sawaal : Bil-Qasd Rasoolullah Saw Ki Ziyaarat Ke Liye Madineh Paak Ka Safar Karna Jayez Hai Ya Nahi ??
Al-Jawaab : Jayez Balke Madroop Hai Aur Baaz Ulama Ne Use Waajib Farmaaya Hai….Is Silsile Me Muta-Aadid Riwayaat Waarid Huwi Hai.
(Fatawa Darul-Uloom Deoband : Jild 4 :Safa 115 , Qadeem )
4. Hazrat Gangohi Rh. Ne Bhi Apne Fatawa Me Jawaaiz Farmaaya Hai.
Al-Jawaab : Jayez Balke Madroop Hai Aur Baaz Ulama Ne Use Waajib Farmaaya Hai….Is Silsile Me Muta-Aadid Riwayaat Waarid Huwi Hai.
(Fatawa Darul-Uloom Deoband : Jild 4 :Safa 115 , Qadeem )
4. Hazrat Gangohi Rh. Ne Bhi Apne Fatawa Me Jawaaiz Farmaaya Hai.
(Fatawa Rasheediya : 166)
No comments:
Post a Comment