Ulama e Deoband (Shah Ismail Shaheed Rh.) par Aiteraaz ( ke (Nauzbillah) Hazrat Shah Sahaab Ne Huzur SAW Ko Cham-Maar Aur Zaleel Ka Laqab Diya Hai ) Ka Jawaab
Aiteraaz : Ke Hazrat Shah Sahaab Ne Nauzbillah Huzur SAW Ko Cham-Maar Aur Zaleel Ka Laqab Diya Hai.Al-Jawaab : Shah Sahaab Ki Asal Ibaarat Ka Mulaheza Farmaaye :
" Jisne Allah Ka Haq Uske Maqlooq Ko Diya Toh Bade Se Bade Ka Haq Le Kar Zaleel Se Zaleel Ko De Diya.Jaise Badshah Ka Taaj Ek Cham-Maar Ke Sar Par Rakhdiya jaaye Isse Badi Be-Insaafi Kya Hogi Aur Yeh Jaanlena Chahiye Ke Har Maqlooq Bada Ho Ya Chota Wo Allah Ki Shaan Ke Aage Cham-Maar Se Bhi Zaleel Hai".Scan Page :
Wazaahat : Haqiqat Sirf Itni :Hai Ke Shah Sahaab Rh. Ne Ek Misl Ke Zariye Shirk Ki Qabaasat Bayaan Ki Hai.Jiska Haasil Yeh Hai Ke Jis Tarah Kisi Badshah Ka Taaj Kisi Cham-Maar Ke Sarpar Rakhdiya Jaaye Wo Cham-Maar Ki Badshah Ke Saamne Koi Haisiyat Nahi.Badshah Ke Saamne Goya Wo Bilkul Be-Bas Wa Aa-jis Hai, Kisi Cham-Maar Ke Sar Par Badshah Ka Taaj Rakhna Jitna Bura Hai Usse Kahi Zyaada Bura Allah Tala Ke Saat Kisi Maqlooq Ko Shareek Karna Hai Kyunke Cham-Maar Badshah Ke Muqaable Me Jitna Aajiz Aur Bebas Hai Usse Kahi Zyaada Saari Maqlooq Allah Tala Ke Saamne Aajiz Wa Bebas Hai Kyunke Cham-Maar Aur Badshah Bhi Maqlooq Hai Aur Allah Toh Khaliq Hai.
Note : Zel ( ذل ) Ke Maani Aajizi Aur Bebas Hote Hai (Yeh Arbi , Farsi Ka Alfaaz Hai Kyunke Us Zamaane Farsi Ke Alfaaz Ba-Kasrat Istemaal Hote The).
Ab Koi Yeh Bataaye ke Isme Huzur Saw Ka Tazkirah Kaha Hai Aur Yaha Toh Is Farmaan Ka Maqsad Sirf Shirk Ki Qabaasat Ko Bayaan Karna Hai.
Jo Log Aisi Waswase Logo ke Dilo me Daalte hai Unko Allah se aur Akhirat ke Din se Darna Chahiye Kyunke Us Din Jhooto Par Saqt Pakard Hogi.
Wallahu Aalam.
No comments:
Post a Comment