Ulama e Deoband (Mufti Rasheed Ahmed Gangohi Rh.) Par Aiteraaz ( Rahmatullil Alameen Sifaat e Khaas Rasoolullah SAW Nahi ) Ka Jawaab.
Aiteraaz : Rahmatullil Alameen Sifaat E Khaas Rasoolullah SAW Nahi Yaani Huzur SAW Ke Alaawa Aur Bhi Kisi Ko Likha Jasakta Hai.Al Jawaab : Mufti Rasheed Ahmed Ki Ibaarat Is Tarah Hai.
Rahmatullil Alameen Sifaat E Khaasa Rasoolullah SAW Nahi Balke Degar Auliyaa , Ambiyaa Aur Ulama E Rabbaniyeen Bhi Maujab Rahmat E Aalam Hote Hai Agar Che Janaab E Rasoolullah SAW Sab Me Alaa Hai.LEHAAZA AGAR DUSRE PAR IS LAFZ KO BA-TA’AWEEL BOLA JAAYE TOH JAYEZ HAI.
Scan Page :
Ahle Baatil ne Aadhi Ibaarat ko Hazaf Karli aur Mufti Rasheed Ahmed Gangohi Rh. Ne Yeh Baat Apni Taraf Se Nahi Kahi Balke Hadees E Paak Me Aata Hai Ke Jab Tak Is Rooye Zameen Me Allah Ka Ek Banda Allah Allah Karne Waala Hoga Qiyaamat Nahi Aayegi.
(Muslim , Mishkaat : Jild 2 : Safa 480)
Maloom Huwa Ke Ek Musalmaan Jab Tak Ba-Hayaat Hai Uski Barkaat Se Dunya Qayaam Hai.
Ek Musalmaan Ki Barkat Aaj Saare Jaha Ko Rozi Milrahi Hai…Ek Musalmaan Ki Barkat Se Allah Tala Aaj America , Russia , Europe . Australia Wagaira Mumalik(Countries) Ko Roozi Deraha Hai.
Yahi Waja Hai Ke Shaarih Hadees Is Hadees Ke Tahet Farmaate Hai : "Yaani Is Hadees Se Maloom Huwa Ke Aalam Ka Biqaa Allah Ke Nazdeek Bando Ki Barkat Se Hai" (Haashiya E Mishkaat)
Sirf Ek Musalmaan Ki Barkat Se Saare Jaha Ko Roozi Milrahi Hai , Toh Us Shaks Ki Kya Fazilat Hogi Jiske Bareme Nabi E Karim SAW Ne Irshaad Farmaaya : Ek Aalim E Deen Shaitaan Par 1000 Aabido Se Zyaada Saqt Hai.
(Tirmizi : 2681)
Scan Page :
Ek Aur Hadees Huzur E Aqdas SAW Ka Irshaad Farmaya :
Aalim Ki Fazilat Aabid Par Aisi Hi Hai Jaise Meri Fazilat Tum Me Se Ek Maamuli Shaks Par Hai. Rasoolullah SAW Ne Irshaad Farmaaya : Logo Ko Bhalai Sikhaane Waale Par Allah Tala , Unke Farishte , Aasmaan Aur Zameen Ki Tamaam Maqlooq Yaha Tak Ke Chutiya (Ants) Apne Bil Me Aur Machliya (Apne Apne Andaaz Me ) Rehmat Bhejti Aur Duwaye Karti Hai.
(Tirmizi : 2685)
Scan Page :
Hadees Me Aata Hai Ke Huzur Saw Ne Farmaaya Hai Ke Ek Pure Qaabile Ki Maut Ek Aalim Ki Maut Se Kam Darje Ki Hai. (Behaiqi Fii Shoeib Ul Imaan : 264/2)
Ek Aur Hadees Me Aata Hai Ke Nabi E Karim SAW Ne Irshaad Farmaaya : Ulama Ki Misaal Un Sitaaro Ki Tarah Hai Jinse Khushki Aur Tari Ke Andhero Me Rehnumaai Hasil Ki Jaati Hai.Jab Sitaare Be-Noor Hojaate Hai Toh Is Baat Ka Imkaan Hota Hai Ke Raasta Chalne Waale Bhatak Jaaye.(Muraad Yeh Hai Ke Ulama Ne Hone Se Log Gumrah Hojaate Hai.
(Musnad E Ahmed : 157/3)
Barhaal In Tamaam Hadeeso Se Yeh Baat Hochuki Hai Ke Aalim Aur Allah Waalo Ka Maqaam Aam Musalmaan Se Badha Huwa Hai.Jab Ek Allah Allah Kehne Waale Musalmaan Ki Barkat Yeh Hai Ke Uske Waje Se Dunya Ko Roozi Milrahi Hai.
Toh Phir Is Ummat Ke Aalim , Allah Waale Jo Aam Muslamaano Ko Sirat E Mustaqim Ki Taraf Chalne Ki Talqeen Karte Hai , Unki Barkat Ka Maqaam Kya Hoga ???
Isi Maloom Huwa Ke Ambiyaa , Auliyaa , Aalim , Allah Waalo Ka Wajood Beshaks Saare Aalam Ke Liye Rehmat Hai Yeh Hadees Ka Mazmoon Hai Isme Koi Ishkaal Ki Baat Nahi.
Albatta Agar Yeh Kaha Ke Arf E Shuru Me “ Rahmatullil Alameen “ Ka Itlaaq Sirf Rasoollullah SAW Ke Liye Kiya Gaya Hai Lehaaza Adab Ka Taqaza Yahi Hai Ke Huzur SAW Ke Siwa Kisi Dusre Par Iska Itlaaq Na Kiya Jaaye.Toh Beshak Yeh Baja Hai (Yahi Wajah Ke Khud Hazrat Gangohi Rh. Ne Kaha Hai Ke "Agar Che Janaab E Rasoolullah SAW Sab Se Alaa Hai" ).
Lekin Iske Bawajood Laghwi Ma’ani Ka Lehaaz Karte Huwe Taweel Ke Saat Ahllul Allah (Allah Waalo) Par Bhi Iska Itlaaq Kardiya Jaaye Toh Isko Na Jayez Na Kaha Jayega Kyunke Adab E Jawaaz Ki Koi Daleel Aur Jawaaz Ki Daleel Taweel Maujood Hai Aur Hazrat Gangohi Rh. Ne Taweel Jayez Farmaaya Hai Chunaanche Farmaate Hai " Agar Dusre Par Is Lafz Ko Ba-Taweel Bola Jaaye Toh Jayez Hai ".
Conclusion ( Khulaasa) : Yeh Ibaarat Bilkul Saaf Aur Waazeh Hai.Farmaate Hai Ke Aalim Ke Liye Rehmat Hone Me Sabse Aala Wa Afzal Huzur SAW Hai Isliye Zyaada Haq Huzur SAW Ka Hai Ke Unko Rahmatullil Alameen Kaha Jaaye.
LEKIN AGAR KUCH TA’WEEL KARLI JAAYE AUR REHMAT E AALAM KA YEH MATLAB LIYA JAAYE KE JIS SE AALAM KO FAIDA PAHUCHE AUR UNSE NAFA HO TOH IS MAA’NI KE AITEBAAR SE DUSRE AMBIYAA AUR AULIYAA KO BHI REHMAT E AALAM KAHA SAKTA HAI ,
Kyunke Unke Zariye Bhi Maqlooq Ko Faida Pahuchta Hai Aur Akhirat MePahuchega.Waha Ambiyaa , Sulahaa , Ulama Sifaarish Karege.

No comments:
Post a Comment