Ulama e Deoband Par Aiteraaz Ka Jawaab -(Part-8)

Tuesday, January 27, 2015

Ulama e Deoband (Shah Ismail Shaheed Rh.) par Aiteraaz ( ke (Nauzbillah) Jisne Huzur Saw Ke Roze Ko Dekha Goya Usne Kisi Buth Ko Dekha) Ka Jawaab

Aiteraaz : Ahle Baatil ne Ulama e Deoband (Shah Ismail Shaheed Rh.) par Yeh Aiteraaz Kiya hai ke Aap ne Yeh Likha hai ke "Jisne Huzur Saw Ke Roze Ko Dekha Goya Usne Kisi Buth Ko Dekha (Nauzbillah)".
(Kitaab Ut Tawheed)

Kitaab Ut Tauheed Hamare Buzurgo Me Se Kisi Ki Tasneef Nahi Hai,Uske Musannif Se Hamare Koi Talluq Nahi Hai Na Uske Halaat Humko Saheeh Taur Par Maloom Hai.

Aur Roza E Athar Ki Ziyaarat Ke Liye Safar Karne Me Ulama E Deoband Ka Aqeeda Hai Jo Darj E Zail Likha Hai :1. Hamare Nazdeek Aur Hamare Mashaiq Ke Nazdeek Ziyaarat E Qabare E Syedul Mursaleen Alaa Darje Ki Qurbat Aur Nihaayat Sawaab Aur Sabab E Husool E Darjaat Hai Balke Waajib Ke Qareeb.

(Aqaid Ulama E Deoband : 30)

Scan Page :



2. Hakeem Ul Ummat Hazrat Maulana Ashraf Ali Thanwi Rh. Farmaate Hai : “ Huzur Saw Ke Mazaar Mubarak Par Qasdan Jaane Ko Hum Mustaheb Balke Mokida Kehte Hai Aur Hamaare Baaz Ulama Ka Wajoob Tak Qiyaal Hai.
(Imdaad Ul Fatawa : Jild 6 : Safa 327 , Sawaal No : 322 )

Scan Page :


3. Sawaal : Bil-Qasd Rasoolullah Saw Ki Ziyaarat Ke Liye Madineh Paak Ka Safar Karna Jayez Hai Ya Nahi ??

Al-Jawaab : Jayez Balke Madroop Hai Aur Baaz Ulama Ne Use Waajib Farmaaya Hai….Is Silsile Me Muta-Aadid Riwayaat Waarid Huwi Hai.

(Fatawa Darul-Uloom Deoband : Jild 4 :Safa 115 , Qadeem )

Hazrat Gangohi Rh. Ne Bhi Apne Fatawa Me Jawaaiz Farmaaya Hai.
(Fatawa Rasheediya : 166)
  • Pin It

No comments:

Post a Comment